main to soya bhi na tha kyuun ye dar-e-ḳhvab gira
meri aghosh men bujhta hua mahtab gira
phir samundar ki taraf lauT chali mauj-ba-mauj
phir koi tishna-dahan aa ke sar-e-ab gira
aks mismar na kar dida-e-hairan ke sarishk
mere ḳhvabon ke dar-o-bam na sailab gira
DhunD siipi ki tarah dil ko na sahil ke qarib
ye sadaf duur bahut duur tah-e-ab gira
aahan o sang ko zahrab-e-fana chaaT gaya
pahle divar shikasta hui phir baab gira
Leave a Reply