Ye Tai Hai Main Apne Mutabiq Nahin Tha

ye tai hai maiñ apne mutābiq nahīñ thā

to kyā zindagī ke muāfiq nahīñ thā

na.ī to yahāñ ek shai bhī nahīñ thī

magar kuchh yahāñ hasab-e-sābiq nahīñ thā

tumhārī har ik baat jhūTī bhī sach hai

mire dosto maiñ hī sādiq nahīñ thā

kisī kī nazar kār-farmā thī mujh meñ

muqallid rahā huuñ muhaqqiq nahīñ thā

thā shahr-e-mohabbat mohabbat se ḳhālī

vahāñ aaj bhī terā āshiq nahīñ thā

faqat bhuuk hī panje gaaḌe khaḌī thī

bahut saarī jag.hoñ pe rāziq nahīñ thā

‘sahar’ vo sarāpā maiñ likhtā bhī kaise

koī lafz bhī us ke laa.eq nahīñ thā

Leave a Comment