bajā.e koī shahnā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā
mohabbat kā tamāshā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā
vo jab bichhḌe the ham to yaad hai garmī kī chhuTTīyāñ thiiñ
tabhī se maah july mujhe achchhā nahīñ lagtā
vo sharmātī hai itnā ki hamesha us kī bātoñ kā
qarīban ek chauthā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā
na-jāne itnī kaḌvāhaT kahāñ se aa ga.ī mujh meñ
kare jo merī achchhā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā
mire dushman ko itnī fauqiyat to hai bahar-sūrat
ki tū hai us kī ham-sā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā
na itnī daad do jis meñ mirī āvāz dab jaa.e
kare jo yuuñ pazīrā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā
tirī ḳhātir nazar-andāz kartā huuñ use varna
vo jo hai nā tirā bhaa.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā