maazi se apni aankh ko tar kar liya karen
taron ki raushni men safar kar liya karen
kanTon si lafziyat hai apni zaban ka sach
ye sach qubul ho to nazar kar liya karen
asan-tarin maut ki sab koshishen fuzul
itni hi Thokaron men guzar kar liya karen
dariya se koi guftugu karne se peshtar
patthar pe tez apna hunar kar liya karen
jab aisi koi baat uThe main to kya mire
saa.e se duur apna shajar kar liya karen
tahrir men kisi ki kaji dekhne ke ba.ad
zer-o-zabar pe apni nazar kar liya karen
Leave a Reply