tumhare jism ka saaya paḌa nahin hoga
dayar-e-gham men ujala hua nahin hoga
zara si baat samajhne men ek umr lagi
vo ḳhud-parast hai vo ba-vafa nahin hoga
bahut ḳhamosh-nafas tha guzarne vaala bhi
so us ki maut ka shohra hua nahin hoga
tire ḳhayal ka badal baras gaya tha vahan
so jism-o-jan ka sahra tapa nahin hoga
use yaqin hai kitna ki us ke jaane se
koi bhi shaḳhs akela hua nahin hoga
ye ho bhi sakta hai duniya ka koi malik ho
magar ye tai hai kitabi ḳhuda nahin hoga
jo us ko qatl kiya us ke charasazon ne
‘junun’ ke dard ka darman hua nahin hoga
Leave a Reply