nahin hai yaad ki vo yaad kab nahin aaya
use bhula ke main ji luun ye Dhab nahin aaya
ye sab ghalat hai ki sunta nahin kisi ki vo
ye sach nahin ki pukara to rab nahin aaya
vo yuun to aata hai jaata hai meri sanson men
bulaya vaise use jab vo tab nahin aaya
kisi ko rizq na pahuncha ho shaam se pahle
abhi zamin pe aisa ghazab nahin aaya
main be-lihaz huun shayad tabhi akela huun
mire mizaj men ab tak adab nahin aaya
bhula chuka huun main ‘sa.im’ hazar baton ko
raha hai yaad bas itna vo jab nahin aaya
Leave a Reply