• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / baDi Bad-Namiyan Hongi Sar-E-Bazar Milne Se

baDi Bad-Namiyan Hongi Sar-E-Bazar Milne Se

baḌi bad-namiyan hongi sar-e-bazar milne se

dilon ke bhed khulte hain nazar ke taar milne se

hai divana to divana darak kya us ko jazbon ka

milega kya tumhen us se divana-var milne se

koi maqsad koi matlab rahe to baat bhi kuchh ho

natija varna kya hoga yuun hi be-kar milne se

mulaqaten na.i kuchh rang bharti hain baḌe dilkash

kahani aage baḌhti hai na.e kirdar milne se

tasavvur men akele mil ke dekhoge to janoge

na milna kitna behtar tha sar-e-bazar milne se

kabhi had se ziyada baḌh bhi jaate hain sitamgar ye

masa.il hal bhi ho jaate hain aksar yaar milne se

hamin ham ek hain duuja nahin koi to batlao

hamen rokegi kya duniya divana-var milne se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hathon Se Gir Gai Mere miTTi Ki KHair Ho

Kahin to Intiha Bhi Ho Kisi Ke Intizar Ki

ahmad-nadeem-qasmi

Balaghat Ka Alamiya

Ranjishen Sab chhoD Din Sab Se laDai chhoD Di

Aabru Ki Kise Zarurat Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet