Raat Se Jang Koi Khel Nain

raat se jañg koī khel na.iiñ

tum charāġhoñ meñ itnā tel na.iiñ

aa gayā huuñ to khīñch apnī taraf

merī jānib mujhe dhakel na.iiñ

jab maiñ chāhūñgā chhoḌ jā.ūñgā

ik sarā.e hai jism jail na.iiñ

bench dekhī hai ḳhvāb meñ ḳhālī

aur paTrī par us pe rail na.iiñ

jis ko dekhā thā kal daraḳht ke gird

vo harā azhdahā thā bel na.iiñ

Leave a Comment