Muddaton Jis Se Mulaqat Na Thi

muddatoñ jis se mulāqāt na thī

jab vo aayā to koī baat na thī

dil bhī kuchh sard huā jaatā hai

mujh meñ bhī shiddat-e-jazbāt na thī

vo ki samjhā hī nahīñ nazroñ ko

merī āñkhoñ meñ koī raat na thī

kaise mumkin thā ki hotī mujh ko

merī qismat meñ agar maat na thī

maiñ ki khoī rahī apne man meñ

mere raste meñ mirī zaat na thī

Leave a Comment