dost ka ghar aur dushman ka pata ma.alum hai
zindagi ham ko tira ye silsila ma.alum hai
zindagi ja ham bhi ku-e-arzu tak aa ga.e
is ke aage ham ko saara rasta ma.alum hai
kya munajjim se karen ham apne mustaqbil ki baat
haal ke baare men ham ko kaun sa ma.alum hai
ya to jo na-fahm hain vo bolte hain in dinon
ya jinhen ḳhamosh rahne ki saza ma.alum hai
sher par to aap ki qudarat musallam hai ‘shuja’
is zamane ka bhi kuchh achchha bura ma.alum hai
Leave a Reply