fa.eda kya tumhen sunane ka
maut unvan hai is fasane ka
ham bhi apne nahin rahe ai dil
kis se shikva karen zamane ka
zindagi chaunk chaunk uTThi hai
zikr sun kar sharab-ḳhane ka
kis ki ankhon men aa.e hain aansu
ruḳh badalne laga zamane ka
barq nazron men kaund uThti hai
naam sunte hi ashiyane ka
‘naqsh’ kashti ke naḳhuda vo hain
lutf hai aaj Duub jaane ka
Leave a Reply