koi le kar khabar nahin aata
jo gaya nama-bar nahin aata
chand kis ja nazar nahin aata
yaar kyuun mere ghar nahin aata
dam mohabbat ka bhar nahin aata
raaz ifsha to kar nahin aata
ishq kya jaane zahid-e-be-maghz
dhang ye umr-bhar nahin aata
pandito pattre men dekho to
kyuun mira nama-bar nahin aata
laala har saal rang laata hai
rang-e-dagh-e-jigar nahin aata
vo to kahte hain sabr kar chande
aur yahan sabr kar nahin aata
kabhi puchho lipat ke siine se
ab to munh ko jigar nahin aata
shisha-e-dil men o pari-paikar
hai pari to utar nahin aata
ham bhi baten banaya karte hain
sher kahna magar nahin aata
ghuncha gul ho ke un se kahta hai
kis ka munh ko jigar nahin aata
rang laaya nahin abhi rona
abhi lakht-e-jigar nahin aata
naseha kyuun na ho khayal un ka
khvab to rat-bhar nahin aata
umr-bhar ik tumhin ko pyaar kiya
dil kahin is qadar nahin aata
mere marne ki kya nahin hai khabar
kyuun tu ai be-khabar nahin aata
kyuun bigadiye bane bane na bane
khair bande ko shar nahin aata
zabh mujh ko anile-pan ne kiya
qatl qatil ko kar nahin aata
kucha-e-yar hai ki jannat hai
jo gaya phir ke ghar nahin aata
yaar kothe pe apne chadhta hai
mah falak se utar nahin aata
ji na chahe jise main kya chahun
mujh ko be-maut mar nahin aata
dekh kar un ko jis ko dekhe ‘mehr’
koi itna nazar nahin aata
Leave a Reply