• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hue Kyun Us Pe Aashiq Hum Abhi Se

Hue Kyun Us Pe Aashiq Hum Abhi Se

sheikh-ibrahim-zauq

hue kyuun us pe ashiq ham abhi se

lagaya ji ko nahaq gham abhi se

dila rabt us se rakhna kam abhi se

jata dete hain tujh ko ham abhi se

tire bimar-e-gham ke hain jo gham-khvar

barasta un pe hai matam abhi se

ghazab aaya hilen gar us ki mizhgan

saf-e-ushshaq hai barham abhi se

agarche der hai jaane men tere

nahin par apne dam men dam abhi se

bhigo rahvega girya jaib o daman

rahe hai astin pur-nam abhi se

tumhara mujh ko pas-e-abru tha

vagarna ashk jaate tham abhi se

lage siisa pilane mujh ko aansu

ki ho buniyad-e-gham mohkam abhi se

kaha jaane ko kis ne menh khule par

ki chhaya dil pe abr-e-gham abhi se

nikalte hi dam uthvate hain mujh ko

hue be-zar yuun hamdam abhi se

abhi dil par jarahat sau na do sau

dhara hai dosto marham abhi se

kiya hai vada-e-didar kis ne

ki hai mushtaq ik aalam abhi se

mara jaana mujhe ghairon ne ai ‘zauq’

ki phirte hain khush-o-khurram abhi se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afeef-siraj

Barson Ke Jaise Lamhon Mein Ye Raat Guzarti Jaegi

poet

Nikal Raha Hun Yaqin Ki Had Se Guman Ki Jaanib

muneer-niyazi

Abhi Mujhe Ek dasht-E-Sada Ki Virani Se Guzarna Hai

Ajab Hai Pyar Ke Badle Ka Ab Chalan Yaro

Dars-E-Adab-E-Junun Yaad Dilane Wale

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet