mujhe vo kaifiyat apni batane kyuun nahin aaya
tujhe ma.alum to hoga zamane kyuun nahin aaya
vo suraj hai to phir us ke na aane ka sabab kya hai
mire saa.e se milne ke bahane kyuun nahin aaya
main us ko khinchti hi rah ga.i lekin na aaya vo
vo mera saans tha aur saans jaane kyuun nahin aaya
miri ḳhali kala.i kah rahi hai iid ki shab ko
vo ab tak chuḌiyan le kar na jaane kyuun nahin aaya
bahut da.ava tha us ko dil ki baazi jiit jaane ka
to phir is khel men mujh ko harane kyuun nahin aaya
daricha khol ke kab se sarapa gosh baiThi huun
koi mausam tiri baten sunane kyon nahin aaya
vo kahta tha ki us ki guftugu hai aa.ine jaisi
to phir chehra mira mujh ko dikhane kyuun nahin aaya
Leave a Reply