paDi Rahegi Agar Gham Ki Dhul shaKHon Par

paḌī rahegī agar ġham kī dhuul shāḳhoñ par

udaas phuul khileñge malūl shāḳhoñ par

abhī na gulshan-e-urdu ko be-charāġh kaho

khile hue haiñ abhī chand phuul shāḳhoñ par

nikal paḌe haiñ hifāzat ko chand kāñTe bhī

huā hai jab bhī guloñ kā nuzūl shāḳhoñ par

havā ke sāmne un kī bisāt hī kyā thī

dikhā rahe the bahāreñ jo phuul shāḳhoñ par

nisār-e-gul ho milā hai ye izn bulbul ko

huā hai hukm gul-e-tar ko jhuul shāḳhoñ par

vo phuul pahuñche na jaane kahāñ kahāñ ‘rahbar’

nahīñ thā jin ko Thaharnā qubūl shāḳhoñ par

Leave a Comment