jaata hai mire ghar se dil-dar khuda-hafiz
hai zindagi ab mushkil be-yar khuda-hafiz
vo mast-e-sharab-e-husn ghusse se nihayat hi
khinche hoe aata hai talvar khuda-hafiz
mujh paas tabib aa ke kahne laga ai yaar
be-tarah ka hai is ko azar khuda-hafiz
hasil nahin darman ka vo hai ye maraz jas se
jan-bar na hua koi bimar khuda-hafiz
be-tarah kuchh idhar ko vo mast-e-sharab-e-husn
khinche hue aata hai talvar khuda-hafiz
ai shaikh tu us but ke kuche men to jaata hai
ho jaae na ye subha zunnar khuda-hafiz
darta huun ki dil har dam malta hai na ho jaave
us chashm-e-sitam-gar ka bimar khuda-hafiz
yuun mehr se farmaya us maah ne vaqt-e-subh
ham jaane hain ab tera ‘bedar’ khuda-hafiz
Leave a Reply