dard had se siva diya tu ne
mera rutba baḌha diya tu ne
dard-o-gham hi sahi ḳhushi na sahi
mujh ko jo kuchh diya diya tu ne
rahat-afza laga mujhe har gham
dard aisa jaga diya tu ne
naam de kar gham-e-mohabbat ka
kyuun fasana bana diya tu ne
dil men aaya to is tarah aaya
dil se sab kuchh bhula diya tu ne
jis ki hasrat kalim rakhte the
mujh ko vo bhi dikha diya tu ne
jugnuon hi pe thi nazar meri
mujh ko suraj bana diya tu ne
Leave a Reply