mere andar ka ghurur andar guzarta rah gaya
sar se paanv tak utarna tha utarta rah gaya
barishon ne phir vahi zahmat uTha.i der se
ek registan hai ki phir bhi pyasa rah gaya
zindagi bhar aankh se aansu nadamat ke gire
aur mere dil ka suffa yuun hi saada rah gaya
pahli barish hi men taqva ke nishan sab dhul ga.e
sar men ik TuuTa hua mazlum sajda rah gaya
kaise hoga ab ḳhuda.i bandagi ka faisla
shahr ke saare ḳhuda men ek banda rah gaya
jald manzil tak pahunchne ka junun us ko raha
zindagi bhar is liye rasta badalta rah gaya
Leave a Reply