ham ne dil se tujhe sada maana
tu baḌa tha tujhe baḌa maana
‘mir’-o-‘ghalib’ ke ba.ad ‘anis’ ke ba.ad
tujh ko maana baḌa baja maana
tu ki divana-e-sadaqat tha
tu ne bande ko kab ḳhuda maana
tujh ko parva na thi zamane ki
tu ne dil hi ka har kaha maana
tujh ko ḳhud pe tha e’timad itna
ḳhud hi ko to na rahnuma maana
ki na shab ki kabhi pazira.i
sub.h ko la.eq-e-sana maana
hans diya sat.h-e-zehn-e-alam par
jab kisi baat ka bura maana
yuun to sha.ir the aur bhi ai ‘josh’
ham ne tujh sa na dusra maana
Leave a Reply