padti hai nazar jab ki par-o-bal par apne
rota huun qafas men bahut ahval par apne
ushshaq ke ahval pe kya us ko nazar hai
vo aap divana hai khat-o-khal par apne
tahsin-e-amal kab use manzur hai ai shaikh
nazren jo kare aap hi aamal par apne
kis tarah se main piir karun ishq ka daava
phabti nahin ye baat sin-o-sal par apne
Leave a Reply