abhi tamam a.inon men zarra zarra aab hai
ye kis ne tum se kah diya ki zindagi ḳharab hai
na jaane aaj ham pe pyaas ka ye kaisa qahr hai
ki jis taraf bhi dekhiye sarab hi sarab hai
har ek raah men miTe mai-e-nuqush-e-arzu
har ik taraf thaki thaki si rahguzar ḳhvab hai
kabhi na dil ke sagaron men tum utar sake magar
mire liye mira vajud ik khuli kitab hai
har ek samt ret ret par hava ke naqsh hain
yahan to dasht dasht men havaon ka azaab hai
Leave a Reply