us kā pīchhā na kiyā ham ne sadāoñ kī tarah
aa ga.e lauT ke nākām duāoñ kī tarah
tere dāman se lipaTtā huuñ to miltā hai sukūñ
maiñ huuñ ai dost pareshān havāoñ kī tarah
dil ka.ī saal se marghaT kī tarah suunā hai
ham ka.ī saal se raushan haiñ chitāoñ kī tarah
dasht-e-iḳhlās meñ miltā hai bahr-e-hāl sukūñ
ġham bhī siine se lagā lete haiñ maaoñ kī tarah
aur phir ham bhī ujāloñ ko mayassar na hue
pyaar kā shahar thā tārīk guphāoñ kī tarah
mere chehre pe haqīqat kī lakīreñ haiñ ‘aqīl’
log paḌhte haiñ mujhe saty kathāoñ kī tarah