• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Khana-Ba-dosh

Khana-Ba-dosh

asrarul-haq-majaz

basti se thodi duur chattanon ke darmiyan

thahra hua hai khana-ba-doshon ka karvan

un ki kahin zamin na un ka kahin makan

phirte hain yunhi shaam o sahar zer-e-asman

dhuup aur abr-o-bar ke maare hue gharib

ye log vo hain jin ko ghulami nahin nasib

is karvan men tifl bhi hain naujavan bhi hain

budhe bhi hain mariz bhi hain na-tavan bhi hain

maile phate libas men kuchh deviyan bhi hain

sab zindagi se tang bhi hain sargiran bhi hain

be-zar zindagi se hain piir o javan sabhi

altaf-e-shahryar ke hain nauha-khvan sabhi

mathe pe sakht-koshi-e-paiham ki dastan

ankhon men huzn o yaas ki ghanghor badliyan

chehron pe tazyana-e-iflas ke nishan

har har ada se bhuuk ki betabiyan ayaan

paisa agar mile to hamiyat bhi bech den

roti ka aasra ho to izzat bhi bech den

utthe hain jis ki god se aazar vo qaum hai

tode hain jis ne charkh se akhtar vo qaum hai

palte hain jis ne dahr ke daftar vo qaum hai

paida kiye hain jis ne payambar vo qaum hai

ab kyuun sharik-e-halqa-e-nau-e-bashar nahin

insan hi to hain ye koi janvar nahin

akhir zamana un ko sataega kab talak

kab se jala raha hai jalaega kab talak

kab se mita raha hai mitaega kab talak

un ke lahu ko josh na aaega kab talak

mayusiyon ki tah men junun-kheziyan bhi hain

aflas ki sarisht men khun-reziyan bhi hain

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ajib Baat Hai Bimar Hai Nahin Bhi Hai

abhishek-shukla

Kisi Tarah Ki Ibaadat Rawa Nahin Rakhunga

Charagh-E-Subh Se Sham-E-Watan Ki Baat Karo

poet

Kaba-E-Dil Mein Runuma Hain Aap

Teri Mansha Hai KHamoshi Meri Hai Marzi Aawaz

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet