• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Haal-E-Dil Is Tarah Chhupata Hun

Haal-E-Dil Is Tarah Chhupata Hun

hal-e-dil is tarah chhupata huun

jab bhi milta huun muskurata huun

raat bhar ḳhvab jo sajata huun

din nikalta hai bhuul jaata huun

mere kamre men sirf kaghaz hai

main charaghon se ḳhauf khata huun

aj-kal vo bhi kuchh nahin kahta

main bhi ḳhamosh lauT aata huun

unche logon men baiTh kar main bhi

apni auqat bhuul jaata huun

jvar-bhaTa miri ragon men hai

main samundar sameT laata huun

kis ki bahon men TuTna tha mujhe

kis ki banhon men chhaTpaTata huun

chandni jhulti hai shane par

chand ko god men khilata huun

raat kaTti hai asmanon par

din ko main bakriyan charata huun

apsara.en mujhe bulati hain

devtaon ko main bulata huun

khet to paT ga.e hain lashon se

ret men sabziyan ugata huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ghar Ki Surat Jo Bhi Ho Us Par Hirasan Main Nahin

Ai Dil-E-Dard-Ashna Husn Se Rasm-O-Rah Kar

akhtar-hoshiyarpuri

Tufan-e-Abr-O-Baad Se Har-Su Nami Bhi Hai

aftab-hussain

Wo Sar Se Panw Tak Hai Ghazab Se Bhara Hua

Nairangi-E-Bahaar-O-KHizan Dekhte Rahe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet