jaam ḳhali jahan nazar aaya
meri ankhon men ḳhuun utar aaya
vo bahut kam kisi ne dekha hai
mujh ko jo kuchh yahan nazar aaya
jhuk ga.e asman sajde men
kaun ye apne baam par aaya
kaanp uTha charḳh hil ga.i duniya
vo jahan apni baat par aaya
us ne puchha mizaj kaisa hai
dil jo umDa hua tha bhar aaya
jab kabhi us ne ki nazar mujh par
ek chhala naya ubhar aaya
teri janib se hoshiyar gaya
apni janib se be-ḳhabar aaya
jab kiya qasd-e-zabt-e-ah ‘aziz’
dil men chhala sa ik ubhar aaya
Leave a Reply