
Habib Jalib
ye aur baat teri gali men na aa.en ham
lekin ye kya ki shahr tira chhoḌ jaa.en ham
muddat hui hai ku-e-butan ki taraf ga.e
avargi se dil ko kahan tak bacha.en ham
shayad ba-qaid-e-zist ye saa.at na aa sake
tum dastan-e-shauq suno aur suna.en ham
be-nur ho chuki hai bahut shahr ki faza
tarik raston men kahin kho na jaa.en ham
us ke baghair aaj bahut ji udaas hai
‘jalib’ chalo kahin se use DhunDh laa.en ham

Leave a Reply