jis dil men tiri zulf ka sauda nahin hota
vo dil nahin hota nahin hota nahin hota
ashiq jise kahte hain vo paida nahin hota
aur hoe bhi bil-farz to mujh sa nahin hota
jo kushta-e-tegh-e-nigah-e-yar hain un par
kuchh kargar ejaz-e-masiha nahin hota
maana ki sitam karte hain maashuq magar aap
jo mujh pe rava rakhte hain aisa nahin hota
jo mast hai saaqi nigah-e-mast ka vo tu
minnat-kash-e-jam-o-mai-o-mina nahin hota
kahta hai koi shoala-e-javvala koi barq
is dil pe guman logon ko kya kya nahin hota
zahid ho do-char-e-nigah-e-mast to dekhen
aluda ba-mai kyunki musalla nahin hota
haan kuchh to bayan-e-havas-e-dil men hai lazzat
jo lab se juda harf-e-tamanna nahin hota
taskin-e-dil-e-sokhta-e-shamma ki khatir
kis shab par-e-parvana se pankha nahin hota
dil ishq ne itna bhi na chhoda ki jo kahven
taqsim juz-e-la-yatajazza nahin hota
de baithe ho dil ‘aish’ tum un logon ko jin ki
bedad ka vaan bhi koi shunva nahin hota
Leave a Reply