tilism-e-lafz-o-ma.ani ko taar taar karen
tasavvurat ki nudrat ko ashkar karen
utaar laa.en falak se mah-o-nujum tamam
zamin pe azmat-e-adam ko ustuvar karen
hain samt samt ayaan ḳhair-o-shar ke hangame
ki aadmi ko ḳhuda.i ka raz-dar karen
hain jam.a dahr men fitne sabhi qayamat ke
ab aur kaun se mahshar ka intizar karen
guzar ke ja.enge jis pul-sirat se ik din
chalo usi ḳhat-e-qatil ko rahguzar karen
uTha hai jis ki latafat se bandagi ka ḳhamir
usi gunah ki ismat pe jan-nisar karen
jala.e rakhne ‘samad’ apni aarzu ke charagh
ajab nahin ki vo dagh-e-jigar shumar karen
Leave a Reply