sahar ko khoj charaghon pe inhisar na kar
hava se dosti rakh us ka e’tibar na kar
yaqin kar o mohabbat yahi munasib hai
ziyada din miri sohbat ko iḳhtiyar na kar
ye koi rishta nahin hai faqat nadamat hai
tu mujh se umr men kam hai so mujh se pyaar na kar
mujhe pata hai ki barbad ho chuka huun main
tu mera sog mana mujh ko sogvar na kar
hai kaun kaun mire saath is musibat men
main apne saath nahin huun mujhe shumar na kar
main ḳhaak ḳhud tujhe labbaik kahne valon men
mujhe bulava na de mera intizar na kar
Leave a Reply