tu suraj hai teri taraf dekha nahin ja sakta
lekin dekhne valon ko roka nahin ja sakta
ab jo lahar hai pal bhar baad nahin hogi yaani
ik dariya men dusri baar utra nahin ja sakta
ab bhi vaqt hai apni ravish tabdil karo varna
jo kuchh hone vaala hai socha nahin ja sakta
us ki gali men jaane se use milne se khud ko
roka ja sakta hai par roka nahin ja sakta
kisi ko chahat aur kisi ko nafrat marti hai
koi bhi ho use marte to dekha nahin ja sakta
ek taraf tire husn ki hairat ek taraf duniya
aur duniya men der talak thahra nahin ja sakta
Leave a Reply