jo zaḳhm lage hain mire dil par nahin dekha
tum ne mira hal-e-dil-e-muztar nahin dekha
ankhon men to barbadi-e-gulshan ka tha manzar
phulon ki taraf aankh uTha kar nahin dekha
taqdir men the hi nahin aram ke lamhe
ghurbat men kaTi umr kabhi ghar nahin dekha
shayad koi divana nahin aaj sar-e-rah
hathon men kisi tifl ke patthar nahin dekha
katra ke guzar jaati hai jis dar se masarrat
nadar ka tum ne kabhi vo ghar nahin dekha
maujon ke thapeḌon se na hoga kabhi vaqif
jis ne kabhi dariya men utar kar nahin dekha
thiin manzil-e-farda ki taraf meri nigahen
maazi ki taraf main ne palaT kar nahin dekha
‘ma.asum’ kahun kis se mohabbat ka fasana
ik ḳhvab tha jo main ne mukarrar nahin dekha
Leave a Reply