ye faqat shorish-e-hava to nahin
koi mujh ko pukarta to nahin
bol ai aḳhtar-e-ghunuda-e-sub.h
koi raton ko jagta to nahin
sun ki ye madd-o-jazr-e-sahil-e-bahr
majraon ka majra to nahin
zehn par ek khurduri si lakir
kankhajure ka rasta to nahin
ret par chaḌh rahi hai ret ki tah
babul o misr o nainva to nahin
nok-e-har-ḳhar-o-ḳhas hai ḳhun-alud
ruh-e-sahra barhana-pa to nahin
ai miri jan-e-mubtala ke sukun
tu koi jan-e-mubtala to nahin
tere jism-e-hasin men ḳhvabida
bagh-e-jannat ka azhdaha to nahin
Leave a Reply