dekhna jazb-e-mohabbat ka asar aaj ki raat
mere shane pe hai us shokh ka sar aaj ki raat
aur kya chahiye ab ai dil-e-majruh tujhe
us ne dekha to ba-andaz-e-digar aaj ki raat
phuul kya khaar bhi hain aaj gulistan-ba-kanar
sang-reze hain nigahon men guhar aaj ki raat
mahv-e-gulgasht hai ye kaun mire dosh-ba-dosh
kahkashan ban gai har rahguzar aaj ki raat
phuut nikla dar-o-divar se sailab-e-nashat
allah allah mira kaif-e-nazar aaj ki raat
shabnamistan-e-tajalli ka fusun kya kahiye
chand ne phenk diya rakht-e-safar aaj ki raat
nuur hi nuur hai kis samt uthaun anhken
husn hi husn hai ta-hadd-e-nazar aaj ki raat
qasr-e-giti men umand aaya hai tufan-e-hayat
maut larzan hai pas-e-parda-e-dar aaj ki raat
allah allah vo peshani-e-simin ka jamal
rah gai jam ke sitaron ki nazar aaj ki raat
ariz-e-garm pe vo rang-e-shafaq ki lahren
vo miri shokh-nigahi ka asar aaj ki raat
nargis-e-naz men vo niind ka halka sa khumar
vo mire naghma-e-shirin ka asar aaj ki raat
naghma o mai ka ye tufan-e-tarab kya kahiye
ghar mira ban gaya ‘khayyam’ ka ghar aaj ki raat
meri har saans pe vo un ki tavajjoh kya khuub
meri har baat pe vo jumbish-e-sar aaj ki raat
vo tabassum hi tabassum ka jamal-e-paiham
vo mohabbat hi mohabbat ki nazar aaj ki raat
uf vo varaftagi-e-shauq men ik vahm-e-latif
kapkapae hue honton pe nazar aaj ki raat
mazhab-e-ishq men jaaez hai yaqinan jaaez
chuum luun main lab-e-laalin bhi agar aaj ki raat
apni rifat pe jo nazan hain to nazan hi rahen
kah do anjum se ki dekhen na idhar aaj ki raat
un ke altaf ka itna hi fusun kaafi hai
kam hai pahle se bahut dard-e-jigar aaj ki raat
Leave a Reply