rashk-e-mahtab jahan-tab tha har qarya-e-jan
jab bhi dil par chamak uTThe tire qadmon ke nishan
kaun guzra hai mahak ban ke dayar-e-dil se
itni gul-posh thiin kab shahr-e-talab ki galiyan
teri tasvir ke partav nahin miTne paate
ek muddat se hai dil kargah-e-shisha-garan
aaj us moḌ pe hai shahr-e-tamanna abad
tira daman nigah-e-shauq ne chuma tha jahan
main tire dard ki kulfat ko kahan le aaya
mere hamrah dhaḌakta hai dil-e-kaun-o-makan
itni maddham to nahin hai miri fariyad ki lai
in salasil ki sada gunjegi zindan zindan
vaqt aa.ega ki dohra.enge ḳhud ahl-e-jafa
main ne jo giit suna.e hain sar-e-nok-e-sinan
mauj-dar-mauj ubharte hain tamanna ke sarab
meri tishna-dahni men hain samundar pinhan
main vo ashkon ka bhikari huun sar-e-rah-e-vafa
jis ki Thokar men raha marhala-e-sud-o-ziyan
main vo sauda.i-e-gul huun ki miri ankhon ne
sina-e-ghar men dekhi hain machalti kaliyan
gham ke lamhon ka ta.ayyun kabhi socha to ‘nasim’
ek ik pal se mujhe jhank rahi thiin sadiyan
Leave a Reply