khun-e-dil se kisht-e-gham ko sinchta rahta huun main
khali kaghaz par lakiren khinchta rahta huun main
aaj se mujh par mukammal ho gaya din-e-firaq
haan tasavvur men bhi ab tujh se juda rahta huun main
tu dayar-e-husn hai unchi rahe teri fasil
main huun darvaza mohabbat kaa, khula rahta huun main
shaam tak khinche liye phirte hain is duniya ke kaam
subh tak farsh-e-nadamat par pada rahta huun main
haan kabhi mujh par bhi ho jaata hai mausam ka asar
haan kisi din shaki-e-ab-o-hava rahta huun main
ahl-e-duniya se taalluq qata hota hi nahin
bhuul jaane par bhi surat-ashna rahta huun main
Leave a Reply