• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sabhi Raste Tere Nam Ke Sabhi Fasle Tere Nam Ke

Sabhi Raste Tere Nam Ke Sabhi Fasle Tere Nam Ke

sabhi raste tire naam ke sabhi fasle tire naam ke

kabhi mil mujhe miri soch ke sabhi da.ere tire naam ke

mire kaam ke to nahin hain ye ye jo mere lat-o-manat hain

ye mujhe aziiz hain is liye ki hain silsile tire naam ke

main sharab piita to kis tarah mujhe tere hukm ka paas tha

magar aaj saaqi ne jab diye mujhe vaste tire naam ke

koi mimbaron pe hai mo’tabar koi sar-kashida hai daar par

vo sahulaten tire zikr ki ye mujahide tire naam ke

yahan jo bhi tha vo tujhi se tha yahan jo bhi hai vo tujhi se hai

sabhi aks hain tiri zaat ke sabhi rang the tire naam ke

abhi main ne zulmat-e-shab ki samt nigah Daali thi ghaur se

ki kisi ne dil ki munDer par diye rakh diye tire naam ke

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Raat Se Jang Koi Khel Nain

Chur Tha zaKHmon Se Dil zaKHmi Jigar Bhi Ho Gaya

Ba-Pas-E-Ehtiyat-E-Arzu Ye Bar-Ha Hua

humaira-rahat

Hawa Ke Sath Ye Kaisa Moamla Hua Hai

Tera Maqam Zamane Mein Yun Nirala Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet