kya koi dard dil ke muqabil nahin raha
ya ek dil bhi dard ke qabil nahin raha
un ke lahu ki dahr men arzaniyan na puchh
jin ka gavah daman-e-qatil nahin raha
apni talash hai hamen ankhon ke shahr men
a.ina jab se apne muqabil nahin raha
sargarmi-e-hayat hai be-maqsad-e-hayat
sab rah-navard-e-shauq hain mahmil nahin raha
us ka ḳhayal aata hai apne ḳhayal se
ab vo bhi apni yaad men shamil nahin raha
Leave a Reply