mire vajud ki duniya men hai asar kis ka
main janta hi nahin huun main ham-safar kis ka
na mujh pe tanz karo dosto ki be-ghar huun
tumhin kaho ki hai tum men se apna ghar kis ka
is ik saval ka suraj bhi de saka na javab
main sirf saaya nahin ruup huun magar kis ka
jo mere paas tha sab luuT le gaya koi
kivaḌ band rakhun ab mujhe hai Dar kis ka
har ek shaḳhs raha mahv-e-shaghl-e-sang-zani
kise paḌi thi ki dekhe uḌa hai sar kis ka
ye aur baat saza us ko mil ga.i varna
chala hai zor dil-e-na-subur par kis ka
tumhari baat alag hai vagarna ai ‘manzur’
bacha hai ab bhi savad-e-dil-o-nazar kis ka
Leave a Reply