use bhula.e hue mujh ko ik zamana hua
ki ab tamam mire dard ka fasana hua
hua badan mira dushman adu hui miri ruuh
main kis ke daam men aaya havas-nishana hua
yahi charagh jo raushan hai bujh bhi sakta tha
bhala hua ki havaon ka samna na hua
ki jis ki sub.h mahakti thi shaam raushan thi
suna hai vo dar-e-daulat gharib-ḳhana hua
vo log ḳhush hain ki vabasta-e-zamana hain
main mutma.in huun ki dar us ka mujh pe va na hua
Leave a Reply