surat-e-mauj samundar men kahan se aaya
main musafir ki tarah ghar men kahan se aaya
ḳhvahish-e-ḳhud-nigari sabz hui kis rut men
a.ina dast-e-sikandar men kahan se aaya
sar darichon se nikal aa.e sada sunte hi
ye hunar tere gadagar men kahan se aaya
markaz-e-gul tha so ab ḳhaak nazar aata hai
ye taghayyur mire bistar men kahan se aaya
meri raten bhi siyah din bhi andhere mere
rang ye mere muqaddar men kahan se aaya
kis ne khincha miri tanha.i ka naqsha ‘asim’
dasht is shahr ke manzar men kahan se aaya
Leave a Reply