tamkin hai aur husn-e-gareban hai aur ham
ḳhuddariyon ka ḳhvab-e-pareshan hai aur ham
sahil se duur gharq hui kashti-e-ummid
maujon ko chheḌta hua tufan hai aur ham
kis ne harim-e-naz ka parda ulaT diya
nazron men ek sho.ala-e-larzan hai aur ham
teri tajalliyan hain jahan tak nazar ga.i
asrar-e-ka.enat ka irfan hai aur ham
balin se kaun mahv-e-tabassum guzar gaya
ab har nazar bahar-e-bad-aman hai aur ham
varaftagi-e-ishq ne pahuncha diya kahan
ḳhamosh ik faza-e-bayaban hai aur ham
ai ‘dil’ ye sun rahe hain ki duniya badal ga.i
ab tak unhin hadon men bayaban hai aur ham
Leave a Reply