raft o aamad bana raha huun main
rah-e-maqsad bana raha huun main
kaam men la ke kuchh ḳhas-o-ḳhashak
apni masnad bana raha huun main
zindagi jurm to nahin lekin
ho ke sarzad bana raha huun main
yunhi bekar main paḌa ḳhud ko
kar-amad bana raha huun main
goya apni hudud se baḌh kar
apni sarhad bana raha huun main
kar raha huun hayat-e-nau ta.amir
apna marqad bana raha huun main
de raha huun jila shararon ko
ḳhud ko mubad bana raha huun main
maah ki aaj phir gahan ban kar
tab-e-asvad bana raha huun main
munharif ho ke us ki chahat se
ḳhud ko murtad bana raha huun main
vo ki ban pa nahin raha mujh se
jo ki shayad bana raha huun main
ug raha huun main aur saath apne
sar pe bargad bana raha huun main
Leave a Reply