har-su khushbu ko fazaon men bikharta dekhun
jab kisi shakh pe ik phuul ko marta dekhun
apni ankhon men naya khvab saja luun koi
jab kisi khvab ki taabir ko marta dekhun
apne ham-rah lahu roti hui ankhon par
niind ka bojh liye shab ko utarta dekhun
apna mitti ka diya aur bhi raushan ho jaae
jab kabhi chand ko angan men utarta dekhun
khidkiyan khol luun har shaam yunhi sochon ki
phir usi raah se yadon ko guzarta dekhun
‘shama’ mat todna ehsas ka aina agar
guzre vaqton ka koi aks utarta dekhun
Leave a Reply