hazar sadiyon ke safar ke bavajud
bint-e-havva ka ye safar to
azal se ab tak
tumhari khvab-gah aur
dalan ke darmiyan
qaid kar diya gaya hai
na jaane kitne qadam hain
jo tumhare bistar men
hunut ho kar pade hue hain
kitni manzilen hain
jo tumhare bistar par
bavarchi-khane ke darmiyan dafn ho chuki hain
Leave a Reply