ḳhat jalā.e tirī tasvīr jalā dī maiñ ne
aaj cigarette tirī yādoñ kī bujhā dī maiñ ne
uḌ gayā hai merī āñkhoñ kā parinda kab kā
vo jo sarsabz thī ik shāḳh girā dī maiñ ne
jo mujhe jaan se pyārī thī bharī duniyā meñ
us hasīñ laḌkī kī ab yaad bhulā dī maiñ ne
raat bhar jāgte rahne kī mujhe aadat hai
thapkī ab siine pe hasrat to sulā dī maiñ ne
vo chalī aa.ī thī milne ke liye ḳhalvat meñ
apne hāthoñ se use chaa.e banā dī maiñ ne
maiñ bhī ziddī thā zarūrat se ziyāda ‘qaisar’
us ko ik baar na pīchhe se sadā dī maiñ ne