dil lage hijr men kyuun kar mera
dil tira sa nahin patthar mera
yuun to ruthe hain magar logon se
puchhte haal hain aksar mera
raah niklegi na kab tak koi
tiri divar hai aur sar mera
kahte hain aah ki dekhen tasir
na hua vasl mayassar mera
ye to kah kaun si tadbir na ki
na hua tu hi sitamgar mera
kya sunun ai dil-e-bad-zan teri
dost hai to vo muqarrar mera
lutf ranjish ke dikhata tum ko
kya kahun bas nahin dil par mera
unhen milna nahin mujh se manzur
kis ki taqsir muqaddar mera
puchhna kya hai chalen jaaen aap
zor chalta nahin tum par mera
ghair ka haal hai kahna manzur
kahte hain zikr mila kar mera
rashk-e-dushman ka gila karta huun
hai qusur is men sarasar mera
khvahish-e-dil kahin bar aae ‘nizam’
dil kai din se hai muztar mera
Leave a Reply