siva.e-dar-ba-dari us ko ḳhaak milta hai
jo asman se apni zamin badalta hai
main jab bhi ghar se nikalta huun raat ko tanha
charagh le ke koi saath saath chalta hai
ajiib hota hai nazzargan-e-shauq ka haal
rida-e-mah pahan kar vo jab nikalta hai
baru-e-chashm rida-e-hijab taan li jaa.e
vo zer-e-saya-e-gul pairahan badalta hai
fareb-e-qurb to dekho ki mere pahlu men
tamam raat koi karvaTen badalta hai
guzar dete hain avara-gard aag ke gird
jo be-Thikana hain un ka bhi kaam chalta hai
hamare dam se bhi hai mausamon ki gul-kari
charagh-e-lala men dil ka lahu bhi jalta hai
main vo shahid-e-vafa huun ki qatl kar ke mujhe
mira ghanim ta.assuf se haath malta hai
hamen nasib hua aisi manzilon ka safar
qadam qadam pe jahan rasta badalta hai
hava-e-daman-e-rangin ye kah ga.i ’tishna’
hamare samne kis ka charagh jalta hai
Leave a Reply