• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh Aisa Pas-E-Ghairat uTh Gaya Is Ahd-E-Pur-Fan Mein

Kuchh Aisa Pas-E-Ghairat uTh Gaya Is Ahd-E-Pur-Fan Mein

kuchh aisa pas-e-ghairat uTh gaya is ahd-e-pur-fan men

ki zevar ho gaya tauq-e-ghulami apni gardan men

shajar sakte men hain ḳhamosh hain bulbul nasheman men

sidhara qafila phulon ka sannaTa hai gulshan men

garan thi dhuup aur shabnam bhi jin paudon ko gulshan men

tiri qudrat se vo phule-phale sahra ke daman men

hava-e-taza dil ko ḳhud-baḳhud bechain karti hai

qafas men kah gaya koi bahar aa.i hai gulshan men

miTana tha use bhi jazba-e-shauq-e-fana tujh ko

nishan-e-qabr-e-majnun daagh hai sahra ke daman men

zamana men nahin ahl-e-hunar ka qadar-dan baaqi

nahin to saikḌon moti hain is dariya ke daman men

yahan tasbih ka halqa vahan zunnar ka phanda

asiri lazmi hai maz.hab-e-shaiḳh-o-barahman men

jinhen sincha tha ḳhun-e-dil se agle baghbanon ne

taraste ab hain paani ko vo paude mere gulshan men

dikhaya mo.ajiza husn-e-bashar ka dast-e-qudrat ne

bhari tasir tasvir-e-gili ke rang-o-roghan men

shahid-e-yas huun rusva huun nakami ke hathon se

jigar ka chaak baḌh kar aa gaya hai mere daman men

jahan men rah ke yuun qaa.em huun apni be-sabati par

ki jaise aks-e-gul rahta hai ab-e-ju-e-gulshan men

sharab-e-husn ko kuchh aur hi tasir deta hai

javani ke numu se be-ḳhabar hona laḌakpan men

shabab aaya hai paida rang hai ruḳhsar-e-nazuk se

farogh-e-husn kahta hai sahar hoti hai gulshan men

nahin hota hai muhtaj-e-numa.ish faiz shabnam ka

andheri raat men moti luTa jaati hai gulshan men

mata-e-dard-e-dil ik daulat-e-bedar hai mujh ko

dur-e-shahvar hain ashk-e-mohabbat mere daman men

na batla.i kisi ne bhi haqiqat raz-e-hasti ki

buton se ja ke sar phoḌa bahut dair-e-barahman men

purani kavishen dair-o-haram ki miTti jaati hai

na.i tahzib ke jhagḌe hain ab shaiḳh-o-barahman men

uḌa kar le ga.i bad-e-ḳhizan is saal us ko bhi

raha tha ek barg-e-zard baaqi mere gulshan men

vatan ki ḳhaak se mar kar bhi ham ko uns baaqi hai

maza daman-e-madar ka hai is miTTi ke daman men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Andhera Itna Nahin Hai Ki Kuchh Dikhai Na De

Kabhi Wo Dost Kabhi Fitna-Saz Lagta Hai

poet

Kisi Ki Jit Ka Sadma Kisi Ki Mat Ka Bojh

Kisi Taur Ho Na Pinhan Tera Rang-E-Ru-Siyahi

Apni Yahi Pahchan, Yahi Apna Pata Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet