kahte hain ab hai shauq mulaqat ka mujhe
jab hausla raha hi nahin baat ka mujhe
samjha ye main ki dil ko mire pherta hai ye
baasi jab us ne paan raha baat ka mujhe
din-rat dekhta huun hasinon ke tazkire
rahta hai shauq apni hikayat ka mujhe
aati hain yaad yaar ke kanon ki bijliyan
mausam na jiine dega ki barsat ka mujhe
mujh ko agar gharaz hai to ik un ki zaat se
‘ashiq’ nahin hai Dar to kisi zaat ka mujhe
Leave a Reply