dil-e-fasurda use kyuun gale laga na liya
qarib rah ke bhi jis ne tira pata na liya
bas ek lamhe men kya kuchh guzar ga.i dil par
bahal hote hue ham ne ik zamana liya
kisi bhi haal men pahunche to hain kinare par
yahi bahut hai ki ehsan-e-naḳhuda na liya
ḳhayal aaya ravana hue safar ke liye
na ham ne raḳht hi bandha na ab-o-dana liya
main ji raha huun magar yad-e-raftagan ki tarah
mujhe ga.e hue lamhon ne kyuun bula na liya
tamam umr hava phankte hue guzri
rahe zamin pe magar ḳhaak ka maza na liya
azal se hai vahi be-kaif raushni ab tak
gulon ka rang sitaron ne kyuun uḌa na liya
jo tha aziiz usi se gurez karte rahe
gali gali men phire apna rasta na liya
umiid sho.ala nahin aftab hai ‘shahzad’
charagh tha to havaon ne kyuun bujha na liya
Leave a Reply